aks aaseb aa.ina jangal
ibtida abr intiha jangal
hai hava hamd aur dua jangal
aadmi ḳhaak hai ḳhuda jangal
kaun is ko jalane vaala tha
apni hi aag men jala jangal
bain barish ke naddiyan naale
aur mausam ka marsiya jangal
jugnuon ki zaban samjhen to
sau kathaon ki ik katha jangal
jaane kis ko sada.en deta hai
bastiyon men makan ka jangal
ḳhvab men kyuun dikha.i dete hain
bolte peḌ jagta jangal
Leave a Reply