bandagi ham ne to ji se apni thani aap ki
banda-parvar khair aage qadr-dani aap ki
thi jo vo laahi ki topi zafrani aap ki
so hamare paas hai ab tak nishani aap ki
dam-ba-dam kah baithna bas jaao apni un ke paas
kyuun nahin jaati vo ab tak bad-gumani aap ki
kya kahun maare khushi ke haal mera kya hua
aamad aamad jo hui kal na-gahani aap ki
hai kisi se aaj vaada kuchh aji khali nahin
ye dhade missi ki honton par jamani aap ki
ham ne sau raten jagain tab hua ye ittifaq
so usi din ko dhari thi niind aani aap ki
mere haq men ab jo ye irshad farmaya ki hai
khuub yaan manqush-khatir jan-fishani aap ki
lek main odhun bichhaun ya lapetun kya karun
rukhi phiki aisi sukhi mehrbani aap ki
kyuun na ishq-allah bolun hazrat-e-dil aap ko
peshvaon ne bhi apni aan maani aap ki
diid kar daala bas un se alam-e-lahut sabt
jis ne lagdi bank ki saafi men chhani aap ki
apni ankhon men padi phirti hai ab tak roz-o-shab
arsh par daata vahi surat dikhani aap ki
ai junun ustad bas kham thonk kar aa jaiye
haan khalifa ham bhi dekhen pahalvani aap ki
sadqa sadqa kyuun na ho jaun bhala ghash kha ke main
dekh gadrai hui uthti javani aap ki
sabza-aghazi so ye kuchh tispe aafat sadgi
qahr phir us baat par gardan hilani aap ki
apni ankhon men taravat aa gai yak-bargi
dekh kar ye lahlahe poshak dhani aap ki
kyuun na ladki sab kahen havva tumhen ai shaikh jiyu
hai jamukhi ki si surat ye darani aap ki
gol pagdi niili lungi munchh mundi takiya riish
phir vo rumal aur vo akh-thu nasdani aap ki
do gulabi la ke saaqi ne kaha ‘insha’ ko raat
zafrani mera hissa arghavani aap ki
Leave a Reply