ai dil-e-be-adab us yaar ki saugand na kha
tuun har ik baat men dildar ki saugand na kha
ruh-e-chandr-badan ai bul-havas azurda na kar
khuub nahin turbat-e-mahyar ki saugand na kha
ye ada sarv men zinhar nahin ai qumri
yaar ke qamat o raftar ki saugand na kha
khauf kar khat ki siyahi sati ai vaada-khilaf
har ghadi mushaf-e-rukhsar ki saugand na kha
apni ankhon ki qasam kha ki liya nahin main ne
jaan le kar dil-e-bimar ki saugand na kha
pech de de ke mire dil kuun pareshan to kya
nahaq us zulf-e-girah-dar ki saugand na kha
taab us rukh ki tajalli ki nahin tujh kuun ‘siraj’
tuun abas shola-e-didar ki saugand na kha
Leave a Reply