Zindagi Ne baKHsha Hai Zahr-E-Agahi Mujhko

zindagī ne baḳhshā hai zahr-e-āgahī mujh ko

kar diyā gayā andhā de ke raushnī mujh ko

ḳhvāb kā har ik shīsha sau jagah se TuuTā hai

kis qadar paḌī mahñgī ā.īna-garī mujh ko

dūsroñ se nafrat kā ḳhvāb tak na dekhūñgā

dosto ḳhud apne se ishq hī sahī mujh ko

maiñ jahāñ bhī huuñ lekin mutma.in to baiThā huuñ

tere rushd se behtar merī gumrahī mujh ko

is tarah to but ban kar mere paas mat tū baiTh

ḳhaar ban ke chubhtī hai terī ḳhāmushī mujh ko

ye mirā muqaddar hai yā tirī sharārat hai

kyuuñ lahū rulātī hai terī dostī mujh ko

bas tujhe hī paane ko vaqf thī mirī parvāz

le uḌā ḳhalāoñ meñ zauq-e-bandagī mujh ko

maiñ ki din kā beTā huuñ raushnī ugaltā huuñ

kyā bhalā Darā.egī shab kī tīrgī mujh ko

ḳhvāb ke jazīroñ par giit kis tarah likkhūñ

har-qadam pe Dastī hai jab ki zindagī mujh ko

Leave a Comment