fasīl-e-zāt par itrā rahā huuñ
zamāne se bichhaḌtā jā rahā huuñ
maiñ patthar ke na.e paikar banā kar
ba-shakl-e-mom Dhaltā jā rahā huuñ
vo ik chehra vo palkeñ aur tabassum
ġhazal ko us kī lai pe gā rahā huuñ
tasavvur meñ kisī se baat kar ke
lab-o-lahje pe us ke chhā rahā huuñ
uḌānoñ se abhī ġhāfil huuñ apnī
zamīñ ko āsmāñ batlā rahā huuñ
muamma ban ga.ī hai zindagī ab
maiñ uljhī zulf ko suljhā rahā huuñ
abhī us gaañv meñ mele lageñge
abhī jis gaañv par mañDlā rahā huuñ
shanāsā.ī huī ḳhāroñ se itnī
guloñ ko dekh kar ghabrā rahā huuñ
maiñ lafzoñ meñ hasīñ rūmān lā kar
na.e lahje meñ Dhaltā jā rahā huuñ
vahī hai vasl kī jhūTī tasallī
maiñ ‘aslam’ ruuh ko taḌpā rahā huuñ