
Mohammad Ali Jauhar
tanha.i ke sab din hain tanha.i ki sab raten
ab hone lagin un se ḳhalvat men mulaqaten
har aan tasalli hai har lahza tashaffi hai
har vaqt hai dil-jui har dam hain mudaraten
me.araj ki si hasil sajdon men hai kaifiyyat
ik fasiq-o-fajir men aur aisi karamaten
baiTha hua tauba ki tu ḳhair manaya kar
Talti nahin yuun ‘jauhar’ is des ki barsaten

Leave a Reply