yahan har shaḳhs apne ghar se kam bahar nikalta hai
badan kho baiThne ke Dar se kam bahar nikalta hai
koi sauda mire sar men samata hi nahin lekin
sama jaa.e to phir vo sar se kam bahar nikalta hai
jahan suraj baras men ek ya do din chamakta ho
vahan saaya kisi paikar se kam bahar nikalta hai
zaminen Duub jaana chahti hain pyaas aisi hai
magar sailab hi sagar se kam bahar nikalta hai
vo jis haivan ko patthar ke andar rizq milta ho
vo patthar ka hai aur patthar se kam bahar nikalta hai
na jaane kitni avazen bulati hain use lekin
ye sannaTa mire andar se kam bahar nikalta hai
abhi akash ka rishta nahin TuuTa zaminon se
magar vo abr ki chadar se kam bahar nikalta hai
Leave a Reply