qaid-e-gham-e-hayat se ahl-e-jahan mafar nahin
aisi mili hai sham-e-gham jis ki koi sahar nahin
hai vo safar jo ishq ko janib dost le chale
varna safar ke vaste kaun si rahguzar nahin
ahl-e-ḳhirad ko chahiye dil ke nagar men aa basen
dil sa hasin-o-ḳhush-numa aur koi nagar nahin
tere karam pe hai yaqin garche ye janta huun main
naala hai mera na-rasa aah men kuchh asar nahin
hasrat-e-intizar ki baat na ham se puchhiye
hai ye tavil dastan qissa-e-muḳhtasar nahin
luT to ga.e hain dil magar mil bhi ga.i hain manzilen
rahguzar-e-hayat men ishq sa rahbar nahin
apna raha na hosh jab raz-e-hayat pa liya
nemat-e-be-ḳhudi samajh hosh ka ye samar nahin
ishq mata-e-la-makan ishq mata-e-javedan
sho.ala-e-da.emi hai ye manzar-e-yak-sharar nahin
‘darshan’-e-mast se milen kholega raz-e-agahi
garche vahan hai jis jagah apni use ḳhabar nahin
Leave a Reply