samne sab ke na bolenge hamara kya hai
chhup ke tanha.i men ro lenge hamara kya hai
gulshan-e-ishq men har phuul tumhara hi sahi
ham koi ḳhaar chubho lenge hamara kya hai
umr-bhar kaun rahe abr-e-karam ka muhtaj
dagh-e-dil ashkon se dho lenge hamara kya hai
haath aaya na agar dast-e-hina.i tera
ungliyan ḳhuun men Dubo lenge hamara kya hai
tum ne mahlon ke alava nahin dekha kuchh bhi
ham to fōtpath pe so lenge hamara kya hai
apni manzil to sarabon ka safar hai ‘baqi’
ham kisi raah pe ho lenge hamara kya hai
Leave a Reply