ho ke varafta kahin ḳhud ko pukara to nahin
naam jo lab pe hamare hai tumhara to nahin
alam-e-tirah-shabi mujh ko gavara to nahin
main ki ashk-e-sar-e-mizhgan huun sitara to nahin
vaqt kahte hain ki har zaḳhm ko bhar deta hai
vaqt ne mera koi qarz utara to nahin
raushni ban ke ubharna nahin asan phir bhi
Duub kya ja.un ki main sub.h ka taara to nahin
ek lamha tha ki ik umr mujhe kya malum
vaqt ḳhud biit gaya main ne guzara to nahin
umr tufan ke thapeḌon men basar ki lekin
sakinan-e-lab-e-dariya ko pukara to nahin
raushni dil men nazar aa.e to ‘nashtar’ sochen
ahd-e-rafta ne koi naqsh ubhara to nahin
Leave a Reply