nahin aisa bhi ki yaksar nahin rahne vaala
dil men ye shor barabar nahin rahne vaala
jis tarah ḳhamushi lafzon men Dhali jaati hai
is men tasir ka unsur nahin rahne vaala
ab ye kis shakl men zahir ho, ḳhuda hi jaane
ranj aisa hai ki andar nahin rahne vaala
main use chhoḌna chahun bhi to kaise chhoḌun?
vo kisi aur ka ho kar nahin rahne vaala
ghaur se dekh un ankhon men nazar aata hai
vo samundar jo samundar nahin rahne vaala
jurm vo karne ka socha hai ki bas ab ki baar
koi ilzam mire sar nahin rahne vaala
main ne halanki bahut vaqt guzara hai yahan
ab main is shahr men pal bhar nahin rahne vaala
maslahat lafz pe do harf na bhejun? ‘javvad’
jab mire saath muqaddar nahin rahne vaala
Leave a Reply