
Asim Wasti
tum intizar ke lamhe shumar mat karna
diye jala.e na rakhna singar mat karna
miri zaban ke mausam badalte rahte hain
main aadmi huun mira e’tibar mat karna
kiran se bhi hai ziyada zara miri raftar
nahin hai aankh se mumkin shikar mat karna
tumhen ḳhabar hai ki taqat mira vasila hai
tum apne aap ko be-iḳhtiyar mat karna
tumhare saath mire muḳhtalif marasim hain
miri vafa pe kabhi inhisar mat karna
tumhen bata.un ye duniya gharaz ki duniya hai
ḳhulus dil men agar hai to pyaar mat karna
milenge raah men ‘asim’ ko ham-safar ka.i aur
vo aa raha hai magar intizar mat karna

Leave a Reply