hasrat bhi aarzu bhi hai dil men tumhin nahin
sab kuchh hai is makan men lekin makin nahin
da.ava abas hai tum ko ki mujh sa hasin nahin
duniya men husn vaale hain lakhon tumhin nahin
ham un ke jaur-o-zulm se bach kar rahen kahan
kis ja ye asman nahin ye zamin nahin
un ka Thikana un ka pata koi jaane kya
vo hain to sab jagah hain nahin to kahin nahin
hai asman par na zamin par tiri misal
yakta hai tu gharaz tira saani kahin nahin
ai nala-e-rasa ho zara aur bhi buland
hai paas duur ab falak-e-haft men nahin
patthar paḌen nasib men mujh bad-nasib ke
us but ke sang dar pe jo teri jabin nahin
kyuun aa.ine men kaun hai kis ka javab hai
tum to ye kah rahe tujhe ki mujh sa hasin nahin
main ja.un ka.aba chhoḌ ke but-ḳhana kya zarur
zahid hai us ka jalva yahan bhi vahin nahin
nala-kanan hai abr to girya-kunan hai abr
furqat men teri kis ka dil andoh-gin nahin
jaate rahe javani ke saath apne saare josh
‘sabir’ vo valvale vo umangen rahin nahin
Leave a Reply