na puchh hijr men jo kuchh hua hamara haal
jise na ishq ho vo jaane kya hamara haal
yaqin hai ki kahenge vo ham-safiron se
qafas men dekh gai hai saba hamara haal
ajab hai is ka jo ab tak nahin suna us ne
fasana-e-sar-e-bazar tha hamara haal
gila yahi hamen qasid se hai ki us gul ko
na khat diya na zabani kaha hamara haal
kabhi to ghash pe ghash aae kabhi lagi hichki
tire firaq men kya kya hua hamara haal
kahan talak na haya degi rukhsat-e-guftar
kabhi to puchhega vo mah-laqa hamara haal
Leave a Reply