Abhi to Aankhon Mein Na-Dida KHwab Baqi Hain

abhī to āñkhoñ meñ nā-dīda ḳhvāb baaqī haiñ

jo vaqt likh nahīñ paayā vo baab baaqī haiñ

sazā jo agle sahīfoñ meñ thī tamām huī

magar sahīfa-e-dil ke azaab baaqī haiñ

karoge jamā bhalā kaise dil ke shīshoñ ko

abhī to dasht-e-falak meñ shahāb baaqī haiñ

uḌā ke le ga.ī āñdhī vo harf harf kitāb

jo saf.ha saf.ha haiñ dil ke sarāb baaqī haiñ

jo giilī ret pe tūfāñ bane guzar bhī ga.e

vo bhīgī palkoñ meñ ab tak sahāb baaqī haiñ

vahī to vaqt kī be-chehragī hai apnī shanāḳht

ki jis pe ab bhī hazāroñ naqāb baaqī haiñ

lahū ke phuul ḳhizāñ āshnā nahīñ ‘tanvīr’

ki dasht dasht shafaq ke gulāb baaqī haiñ

Leave a Comment