bahar aa.e anadil ne mil ḳharosh kiya
badan men ḳhuun ne surahi men mai ne josh kiya
zahe zahe mere iman-o-din ki main ne unhen
fida-e-farq-e-ḳhum-o-pa-e-mai-farosh kiya
naqab munh se uTha kar ye kis ne di avaz
ki daf.atan hama-tan mujh ko chashm-o-gosh kiya
nikal gaya tha lahu mere tan ka rone men
raha tha jo koi qatra so gham ne nosh kiya
kalam kyon na ho ‘besabr’ mera mastana
ki jaam hai ḳhum-e-hafiz se main ne nosh kiya
Leave a Reply