dil ke darvaze pe dastak ki sada koi nahin
kaun si manzil hai ye avaz-e-pa koi nahin
majlis-e-alam se kis tarah nikle zindagi
ye vo zindan hai ki jis ka rasta koi nahin
karbala to aaj bhi milta hai har har gaam par
shahar men lekin husain-e-ba-vafa koi nahin
kuchh samajh kar hi kiya hai main ne us ka intiḳhab
kya hua us raah men gar naqsh-e-pa koi nahin
main jo uTTha to uTha saara zamana mere saath
tum jo uTThe to uTha dil ke siva koi nahin
ai shab-e-furqat kahan bhaTkegi chal mere hi ghar
ye vo basti hai jahan raushan diya koi nahin
atish-e-ehsas men jalte raho ‘shibli’ sada
sha.iri se baḌh ke duniya men saza koi nahin
Leave a Reply