• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Har Aan Nai Shan Hai Har Lamha Naya Hai

Har Aan Nai Shan Hai Har Lamha Naya Hai

abdul-mannan-tarzi

har aan nai shaan hai har lamha naya hai

aina-e-ayyam hai ya teri ada hai

rahbar jise hairat se khada dekh raha hai

vo rahrav-e-gum-gashta ka naqsh-e-kaf-e-pa hai

nalon ne ye bulbul ke bada kaam kiya hai

ab atish-e-gul hi se chaman jalne laga hai

ai jan-e-vafa dil ke evaz dard liya hai

kuchh soch samajh kar hi to ye kaam kiya hai

pahron pas-e-divar khada tha so khada hai

divana hai paband-e-rah-e-rasm-o-vafa hai

tanhai men mahsus hua hai mujhe aksar

jaise mire andar se koi bol raha hai

taari hai sukut aaj samundar ki faza par

gahrai men shayad koi tufan utha hai

karta tha jo khamoshi ki talqin hamesha

ham-saya mira khvab men vo chikh raha hai

zindan ke darichon se hai phir shauq ne jhanka

shayad ki junun-khez gulistan ki hava hai

ye gardish-e-ayyam ka ehsan hai ‘tarzi’

ab zakhm-e-kuhan apna hara hone laga hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Gham Yan To Bika Hua Khada Hai

Na-Ashna-E-Dard Nahin Bewafa Nahin

Sheikh Saadi

Story 18 – The Morals Of dervishes – Gulistaan-e-Sa.Adii

shabnam-shakeel

kitne aasan raste hote

Dil Par Kisi Patthar Ka Nishan Yun Hi Rahega

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet