har samt pareshan tiri aamad ke qarine
dhoke diye kya kya hamen bad-e-sahari ne
har manzil-e-ghurbat pe guman hota hai ghar ka
bahlaya hai har gaam bahut dar-ba-dari ne
the bazm men sab dud-e-sar-e-bazm se shadan
be-kar jalaya hamen raushan-nazri ne
mai-khane men aajiz hue azurda-dili se
masjid ka na rakkha hamen ashufta-sari ne
ye jama-e-sad-chak badal lene men kya tha
mohlat hi na di ‘faiz’ kabhi bakhiya-gari ne
Leave a Reply