dil le gai vo zulf-e-rasa kaam kar gai
kaaba ko dah gai ye bala kaam kar gai
aaya na yaar maut mira kaam kar gai
nakam hi raha main qaza kaam kar gai
zahid ne bhi namaz ko apni qaza kiya
vallah un buton ki ada kaam kar gai
us ki gali men khaak hamari na le chale
apna kabhi na bad-e-saba kaam kar gai
zahid ki aankh men to barahman ke dil men hai
tasvir-e-but bhi nam-e-khuda kaam kar gai
bimar-e-ishq ko hui sehat visal se
ai jalinus ik ye dava kaam kar gai
naale se apne ah-e-rasa raat badh gai
neze se barchhi aur siva kaam kar gai
vo ab to chhed chhed ke dete hain galiyan
shukr-e-khuda ki apni dua kaam kar gai
shikva nahin hai kuchh malak-ul-maut se mujhe
ik rashk-e-hur aa ke mira kaam kar gai
laila ko ho gaya tiri fariyad ka guman
ai qais zang ki bhi sada kaam kar gai
chhanvai khaak ‘mehr’-e-falak-bargah ko
chhoti si ek chiiz bada kaam kar gai
Leave a Reply