abhi se taq-e-talab par na tu saja mujh ko
abhi to karna hai is dil se mashvara mujh ko
abhi shabih mukammal nahin hui teri
abhi to bharna hai ik rang-e-mavara mujh ko
koi na koi to surat nikal hi aa.egi
zara batao to darpesh marhala mujh ko
ye baat baat pe takrar-o-bahs kya karna
ki jitna hai tumhen aur harna mujh ko
main us ki zaat men shamil thii, us ko mil jaati
dua-e-ḳhair samajh kar vo mangta mujh ko
main jis men dekh ke ḳhud ko sanvar luun ‘nahid’
abhi mila hi kahan hai vo aa.ina mujh ko
Leave a Reply