bad-dili men be-qarari ko qarar aaya to kya
pa-piyada ho ke koi shahsavar aaya to kya
zindagi ki dhuup men murjha gaya mera shabab
ab bahar aai to kya abr-e-bahar aaya to kya
mere tevar bujh gae meri nigahen jal gai
ab koi aina-ru aina-dar aaya to kya
ab ki jab janana tum ko hai sabhi par e’tibar
ab tumhen janana pe jab e’tibar aaya to kya
ab mujhe khud apni bahon par nahin hai ikhtiyar
haath phailae koi be-ikhtiyar aaya to kya
vo to ab bhi khvab hai bedar binai ka khvab
zindagi men khvab men us ke guzar aaya to kya
ham yahan hain be-gunah so ham men se ‘jaun-elia’
koi jiit aaya yahan aur koi haar aaya to kya
Leave a Reply