kaun kahan tak ja sakta hai
ye to vaqt bata sakta hai
ishq men vahshat ka ik shola
ghar ko aag laga sakta hai
jazbon ki shiddat ka suraj
zanjiren pighla sakta hai
teri aamad ka ik jhonka
ujda shahr basa sakta hai
aine men jurat ho to
aks bhi surat pa sakta hai
ankhon men thahra ik manzar
raah men gard uda sakta hai
tujh ko paiham sochne vaala
khvab ko haath laga sakta hai
Leave a Reply