tu kabhi ḳhud ko be-ḳhabar to kar
apni janib bhi ik nazar to kar
ghalat-andaz ik nigah sahi
meri hasti ko mo’tabar to kar
vaqfa-e-umr hai ki arsa-e-hashr
is masafat ko muḳhtasar to kar
rahbari ka bharam bhi rakh lunga
mujh ko manus-e-rahguzar to kar
aa.ina aa.ina tira partav
aa.ina aa.ina guzar to kar
main ne jis tarah ziist kaaTi hai
ek din hi sahi basar to kar
vaqt koh-e-giran sahi ‘mohsin’
ab-e-ju ki tarah safar to kar
Leave a Reply