ranjish tiri har dam ki gavara na karenge
ab aur hi mashuq se yarana karenge
bandhenge kisi aur hi jode ka tasavvur
sar dhyan men us zulf ke maara na karenge
imkan se kharij hai ki huun tujh se mukhatib
hamnam ko bhi tere pukara na karenge
yak baar kabhi bhule se aa jaaen to aa jaaen
lekin guzar is ghar men dobara na karenge
kya khuub kaha tu ne jo kholun abhi aghosh
milne se mire aap kinara na karenge
go khaak men mil jaaen ham aur vaza badal jaaen
par tujh se mulaqat khud-ara na karenge
us nargis-e-‘bimar’ se rakhte hain shabahat
hargiz su-e-abhar bhi ishara na karenge
Leave a Reply