safar se mujh ko bad-dil kar raha tha
bhanvar ka kaam sahil kar raha tha
vo samjha hi kahan us martabe ko
main us ko dukh men shamil kar raha tha
hamari fat.h thi maqtul hona
yahi koshish to qatil kar raha tha
koi to tha mire hi qafile men
jo mera kaam mushkil kar raha tha
vo Thukra kar gaya is daur men jab
main jo chahun vo hasil kar raha tha
tiri baton men yuun bhi aa gaya main
bhaTakne ka bahut dil kar raha tha
koi mujh sa hi divana tha shayad
jo virane men mahfil kar raha tha
ye dil ḳhud-gharz dil gham-ḳhvar tera
ḳhushi gham men bhi hasil kar raha tha
samajhta tha main sazish aa.ine ki
mujhe mere muqabil kar raha tha
Leave a Reply