
Sahab Qazalbash
hazar baten hain dil men abhi sunane ko
magar zaban nahin milti hamen batane ko
vo ankhen aaj sitare tarashti dekhen
jinhon ne rang-e-tabassum diya zamane ko
ham ahl-e-zarf abhi tak hain ek jins-e-latif
jinhen kuchal diya duniya ne azmane ko
hamare phuul hamara chaman hamari bahar
hamin ko ja nahin milti hai ashiyane ko
‘sahab’ itne taghayyur navaz hain ham bhi
ki apne naghmon ne chaunka diya zamane ko

Leave a Reply