dil soya hua tha muddat se ye kaisi basharat jaagi hai
is baar lahu men ḳhvab nahin ta.abir ki lazzat jaati hai
is baar nazar ke angan men jo phuul khila ḳhush-rang laga
is baar basarat ke dil men nadida basirat jaagi hai
ik bam-e-suḳhan par ham ne bhi kuchh kahne ki ḳhvahish ki thi
ik umr ke ba.ad hamare liye ab ja ke sama.at jaagi hai
ik dast-e-dua ki narmi se ik chashm-e-talab ki surḳhi tak
ahval barabar hone men ik nasl ki vahshat jaagi hai
ai ta.ana-zanon do chaar baras tum bol liye ab dekhte jaao
shamshir-e-suḳhan kis haath men hai kis ḳhuun men hiddat jaagi hai
Leave a Reply