abas vajud ka dukh tangi-e-hayat ka dukh
ki dil ne paala hua hai har ek zaat ka dukh
talash-e-jannat-o-dozaḳh men ra.egan insan
zamin pe roz manata hai ka.enat ka dukh
ka.i jhamelon men uljhi si bad-maza chaa.e
udaas mez pe daftar ke kaghzat ka dukh
tamam din ki musibat to baanT li ham ne
kabhi kaha hi nahin apni apni raat ka dukh
ga.e dinon ka koi ḳhvab dafn hai shayad
ki ab bhi aankh se rista hai baqiyat ka dukh
imam-e-tishna ki aulad Thahri huun aḳhir
so mujh ko yaksan mila ravi-o-furat ka dukh
na jaane malik-e-kun kis tarah nibhata hai
ye dastaras ki suhulat ye mumkinat ka dukh
Leave a Reply