dil ki nadaniyan are tauba
ye pashemaniyan are tauba
mushkilon men bhi dil ye kahta hai
ye tan-asaniyan are tauba
aaj bhi hain kalim nazron men
tur-samaniyan are tauba
nau-ba-nau un ki jalva-samani
meri hairaniyan are tauba
raz-e-ulfat kabhi chhupa na sake
ashk-afshaniyan are tauba
daur-e-na-qadr-dan men ‘za.iq’ ki
ye ghazal-ḳhvaniyan are tauba
Leave a Reply