dard ki lai ko baḌha do ki main zinda huun abhi
aur is dil ko dukha do ki main zinda huun abhi
mere ehsas ki ye baaḌh to rukne se rahi
mujh ko divana bana do ki main zinda huun abhi
karb-e-tanha.i ka nashtar rag-e-jan men rakh do
mujh ko ehsas dila do ki main zinda huun abhi
hausla jiine ka hota hai par itna bhi nahin
mujh ko is ki bhi saza do ki main zinda huun abhi
aarzu ek alamnak kahani hi sahi
phir se ik baar suna do ki main zinda huun abhi
saaya ban kar main salibon se utar aaya huun
ab koi aur saza do ki main zinda huun abhi
ju-e-ḳhun ankhon se bahti hi rahegi ‘tanvir’
aḳhiri sham.a bujha do ki main zinda huun abhi
Leave a Reply