zamin-e-hijr men gardan talak gaḌa hua huun
main tujh ko haar ke ab soch men paḌa hua huun
har ek samt hai shorish bala ki vahshat hai
main dasht-zad huun aur shahr men khaḌa hua huun
ḳhuda ka shukr ki zeba.ishon ka huun baa.is
ye aur baat ki pazeb men jaḌa hua huun
ye ishq maut ke asbab paida karta hai
main tiis saal se is baat par aḌa hua huun
kiya tha aap ne sarvat ka zikr ḳhair jahan
main ehtiram men ab tak vahin khaḌa hua huun
ḳhuda kare ki tujhe bandagi pasand aa.e
main ḳhaak ho ke tiri raah men paḌa hua huun
main qahqahon ke qabile ka aadmi tha magar
ajiib hai ki gale dasht ke paḌa hua huun
bata rahe the ye ‘faisal’ imaam ishq mujhe
main intizar-e-musalsal se chiḌa hua huun
Leave a Reply