buton ki majlis men shab ko mah-ru jo aur tuk bhi qayam karta
kunisht viran sanam ko banda brahmnon ko ghulam karta
kharab khasta samajh ke tu ne piyare mujh ko abas nikala
jo rahne deta tu gul-rukhon men qasam hai meri main naam karta
karodon dil jo mue pade hain nikalte khunin kafan se nalan
qayamat aa jaati jo vo qamat gali men apni khiram karta
na itne qisse na jang hoti piyare tere milap uupar
raqib aapi se zahr khane jo vasl ka tu payam karta
vo sarv-qamat jo muskura kar chaman men jaata to muskura kar
tadapti bulbul sisakti qumri gulon pe hansna haram karta
bhala hua jo naqab tu ne uthaya chehre se hai pari-ru
vagarna siine se dil tadap kar nigah men aa kar maqam karta
jo zulfen mukhde pe khol deta sanam hamara to phir ye gardun
na din dikhata na shab bitata na subh laata na shaam karta
vo bazm apni thi mai-khuri ki farishte ho jaate mast be-khud
jo shaikh-ji vaan se bach ke aate to phir main un ko salam karta
‘nazir’ teri isharaton se ye baten ghairon ki sun raha hai
vagarna kis men thi tab-o-taqat jo us se aa kar kalam karta
Leave a Reply