• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Mujhe Mat Batana

Mujhe Mat Batana

parveen-shakir

mujhe mat batana

ki tum ne mujhe chhodne ka irada kiya tha

to kyuun

aur kis vajh se

abhi to tumhare bichhadne ka dukh bhi nahin kam hua

abhi to main

baton ke vaadon ke shahr-e-tilismat men

aankh par khush-gumani ki patti liye

tum ko pedon ke pichhe darakhton ke jhund

aur divar ki pusht par dhundne men magan huun

kahin par tumhari sada aur kahin par tumhari mahak

mujh pe hansne men masruf hai

abhi tak tumhari hansi se nabard-azma huun

aur is jang men

mera hathiyar

apni vafa par bharosa hai aur kuchh nahin

use kund karne ki koshish na karna

mujhe mat batana…..

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Ishq Tere Se Lagawe Na KHuda Aar Mujhe

Ai Dil-E-Dard-Ashna Husn Se Rasm-O-Rah Kar

majrooh-sultanpuri

Jala Ke Mishal-E-Jaan Hum Junun-Sifat Chale

poet

Shauq Se dil Ko Tah-E-Tegh-E-Nazar Hone do

Main Akela Hun Yahan Mere Siwa Koi Nahin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet