kaaT raha huun ik ik din azar ke saath
jaise raat guzarti hai bimar ke saath
shohrat tanha tai karti hai raste ko
uḌ kar phuul nahin jaata mahkar ke saath
hijr ka mausam le kar suraj nikla hai
barf lipaT kar roti hai kohsar ke saath
ghar ki har shai teri yaad dilati hai
dhyan men chiḌiya aa jaa.e chahkar ke saath
ek hi jhonka bikhra dega patton ko
kab tak mil kar baiThenge divar ke saath
vaqt ne likh kar kaaT diye hain un ke naam
jin ka sikka chalta tha talvar ke saath
‘ḳhavar’ kya kya shaklen banti rahti hain
tanha.i men yadon ki parkar ke saath
Leave a Reply