kya kahin kya ye jahan-e-guzaran lagta hai
gul ka hansna bhi tabiat pe garan lagta hai
is jahan se bhi to ik roz nikalna hoga
ye jahan bhi to kirae ka makan lagta hai
ashk-e-gham aankh men aa jaate hain roken kaise
aag jalti hai to ankhon men dhuan lagta hai
jaane kya meri samaat ko hua hai ‘fakhir’
naghma-e-aish bhi suniye to fughan lagta hai
Leave a Reply