na junun jaega kabhi mera
yaar hai ghairat-e-pari mera
dil na le ai sanam bara-e-khuda
kuchh bahalta hai is se ji mera
us ka hairan huun jo kahta hai
dekh le munh na aarsi mera
ab nahin dil ko taab furqat ki
dam nikalta hai ai pari mera
lazzat-e-qatl kya kahun qatil
chatti hai lahu chhuri mera
jan-e-jan zikr kar na jaane ka
dam nikal jaega abhi mera
ghuncha-e-gul to hans ke kahta hai
munh chidhane lagi kali mera
ab ki furqat men gar raha jiita
dekhiyega na munh kabhi mera
be-nishan hon misal anqa ki
naam ai ‘arsh’ to sahi mera
Leave a Reply