naaz kar naaz ki ye naaz juda hai sab se
mera lahja miri avaz juda hai sab se
juz mohabbat kise ma.alum ki vo chashm-e-haya
baat to karti hai andaz juda hai sab se
jis ko bhi maar diya zinda-e-javed kiya
harf-e-haq tera ye e.ajaz juda hai sab se
dekhna kaun hai kya us ko nahin jan-e-aziz
sar-e-darbar ik avaz juda hai sab se
TuuT jaata hai to sur aur bhi lau dete hain
dil jise kahte hain vo saaz juda hai sab se
soch kar daam bichhana zara ai mauj-e-hava
mere inkar ki parvaz juda hai sab se
nashsha-e-dahr-o-qayamat ka to kya zikr ‘umid’
vo mira sarv-e-sar-afraz juda hai sab se
Leave a Reply