nahin hai bahr-o-bar men aisa mere yaar koi
ki jis ḳhitte ka milta ho na da.avedar koi
yunhi buniyad ka darja nahin milta kisi ko
khaḌi ki ja.egi mujh par abhi divar koi
pata chalne nahin deta kabhi fariyadiyon ko
laga kar baiTh jaata hai kahin darbar koi
nigahen us ke chehre se nahin haTtin jo dekhun
ki hai us ke gale men besh-qimat haar koi
bachata phirta huun dariya men apni kashti-e-jan
kabhi is paar hai koi bhi us paar koi
usi ka qahr barpa hai usi ka faiz jaari
har ik majbur ka hai malik-o-muḳhtar koi
kahlvaya hai us ne phand kar divar aa jaana
agar darvaze par baiTha ho pahre-dar koi
Leave a Reply