qarar hote hue be-qarar ya.ani main
tumhare hijr ka ik sogvar ya.ani main
vatan se duur vatan ka muqim ya.ani tu
vatan men rah ke gharib-ud-dayar ya.ani main
sarapa kibr va sarapa ghurur ya.ani tu
tire ghurur pe har dam nisar ya.ani main
vafa-o-mehr-o-mohabbat ka naam ya.ani tu
vafa-o-mehr-o-mohabbat shi.ar ya.ani main
har ik amal se mire be-niyaz ya.ani tu
niyaz-o-nazr dil-o-jan-guzar ya.ani main
ummid-e-amad-e-sub.h-e-bahar ya.ani tu
aur is bahar ka umid-var ya.ani main
suḳhan men taaza ḳhayalon ki mauj ya.ani tu
suḳhan ko ba.is-e-sad-iftiḳhar ya.ani main
Leave a Reply