aao ab mil ke gulistan ko gulsitan kar den
har gul-o-lala ko raqsan o ghazal-khvan kar den
aql hai fitna-e-bedar sula den is ko
ishq ki jins-e-giran-maya ko arzan kar den
dast-e-vahshat men ye apna hi gareban kab tak
khatm ab silsila-e-chak-e-gareban kar den
khun-e-adam pe koi harf na aane paae
jinhen insan nahin kahte unhen insan kar den
daman-e-khak pe ye khuun ke chhinte kab tak
inhin chhinton ko bahisht-e-gul-o-raihan kar den
maah o anjum bhi hon sharminda-e-tanvir ‘majaz’
dasht-e-zulmat men ik aisa charaghan kar den