aankh lag jaati hai phir bhi jagta rahta huun main
niind ke aalam men kya kya sochta rahta huun main
tairti rahti hain mere ḳhuun men gham ki kirchiyan
kanch ki surat badan men TuTta rahta huun main
saanp ke manind kyuun Dasti hai bahar ki faza
kyuun hisar-e-jism men mahbus sa rahta huun main
phenkta rahta hai patthar kaun dil ki jhiil men
da.era-dar-da.era kyuun phailta rahta huun main
Tahniyan kaT kaT ke ug aati hain phir se dard ki
ik sanobar karb ka ban kar hara rahta huun main
is se baḌh kar aur kya hoti pareshani mujhe
ye sitam kam hai ki ḳhud se bhi juda rahta huun main
Leave a Reply