ḳhamoshi ko jhinjhoḌa ja raha hai
hava men tiir chhoḌa ja raha hai
tiri tasvir ke hain rang pyase
baharon ko nichoḌa ja raha hai
bana kar da.ere angḌa.iyon ke
hisar-e-ḳhvab toḌa ja raha hai
purani dastanon ka ta.alluq
na.e qisson se joḌa ja raha hai
yunhi arzan nahin hain ye kitaben
hamara zehn moḌa ja raha hai
Leave a Reply