ḳhud ko ḳhudi ka aa.ina dikhla raha huun main
apna harif aap bana ja raha huun main
qismat ki pastiyon ki haden ḳhatm ho chukin
ab rif.aton ki samt uḌa ja raha huun main
nakam-e-arzu huun magar uf yaqin-e-ishq
danista phir fareb-e-vafa kha raha huun
mohar-e-sukut-e-lab pe hai bahke hue qadam
ai be-ḳhudi phir aaj kidhar ja raha huun main
phir dekhta huun chehra-e-mazi ke ḳhadd-o-ḳhal
saaqi sambhal hosh men phir aa raha huun main
ruk jaa.e jis ke shor se dasht-o-jabal ki saans
us sail-e-ranj-o-gham men baha ja raha huun main
jaane ko huun ahata-e-alam se dur-tar
bas chand roz tum ko nazar aa raha huun main
shams-o-qamar hain raah men zarrat ki tarah
kis ki tajalliyon men ghira ja raha huun main
tha jo ḳhayal teri jafaon se peshtar
dil ko usi ḳhayal se bahla raha huun main
baḌh baḌh ke ‘raaj mere qadam le rahi hai maut
kis zindagi ki samt baḌha ja raha huun main
Leave a Reply