dildar ki kashish ne aincha hai man hamara
hai khaak is qadam ki shayad vatan hamara
ai dostan-e-jani dil siin karo tavajjoh
ta-jan paas apne pahunche badan hamara
gar zindagi hai baaqi phir tum siin aa milenge
didar akhiri hai jo hai maran hamara
darya-e-muddaa ka laae hain thaah jab siin
har buund ashk ka hai durr-e-adan hamara
darkar nahin hai pahren bar men qaba-e-zinat
ye bas hai khaksari khaki baran hamara
sab chhod khanuma kuun hain us ki justuju men
hai dasht aur bayaban bagh-o-chaman hamara
manind-e-kohkan hai be-kal ‘siraj’ ka dil
shayad ki maan leve shirin-sukhan hamara
Leave a Reply