buniyad-e-jahan men kaji kyuun hai
har shai men kisi ki kami kyuun hai
kyuun chehra-e-khar shagufta hai
aur shakh-e-gulab jhuki kyuun hai
vo vasl ka din kyuun chhota tha
ye hijr ki raat badi kyuun hai
jis baat se dil men halchal hai
vo baat labon pe ruki kyuun hai
mat dekh ki kaun hai parvana
ye soch ki shama jali kyuun hai
na the khvab to aansu hi hote
mira kasa-e-chashm tahi kyuun hai
Leave a Reply