jidhar bhi dekhiye ik rasta bana hua hai
safar hamare liye mas.ala bana hua hai
main sar-ba-sajda sakun men nahin safar men huun
jabin pe daagh nahin aabla bana hua hai
main kya karun mira gosha-nashin hona bhi
paḌosiyon ke liye vaqi.a bana hua hai
magar main ishq men parhez se bandha hua huun
tira vajud to ḳhush-za.eqa bana hua hai
burida shaḳhen hain ya sham.a-ha-e-gul-shuda hain
ḳhamida peḌ hai ya maqbara bana hua hai
mire gunah dar-o-divar se jhalak rahe hain
makan mere liye a.ina bana hua hai
shu.uri koshishen manzar bigaḌ deti hain
vahi bhala hai jo be-saḳhta bana hua hai
kisi dua ke liye haath uThe hue ‘shahid’
kisi diye ke liye taqcha bana hua hai
Leave a Reply