phir fikr-e-suḳhan main kar raha huun
aflak se main guzar raha huun
lafzon ke khila raha huun ghunche
zulmat men sitare bhar raha huun
ye shams-o-qamar hain dekhe-bhale
in sab ka main ham-safar raha huun
miTTi se janam janam ka rishta
dharti ka singar kar raha huun
jannat miri fikr ki hai me.araj
dozaḳh se to main guzar raha huun
duniya ke qaside main ne likhe
bas apna hi nauhagar raha huun
sab ki hai ḳhabar ‘sarosh’ lekin
main ḳhud se hi be-ḳhabar raha huun
Leave a Reply