• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Irfan Hai Ye Ishq Ke Soz-O-Gudaz Ka

Irfan Hai Ye Ishq Ke Soz-O-Gudaz Ka

irfan hai ye ishq ke soz-o-gudaz ka

parda uTha raha hai koi imtiyaz ka

taron se puchhiye miri ankhon ko dekhiye

duniya ko kya pata shab-e-hijr-e-daraz ka

jaane se qabl tuur pe muusa ye dekhte

kya zarf hai havas tajalli-navaz ka

sab surḳhiyan hain ḳhun-e-vafa si likhi hui

qissa hai dil-gudaz shahid-e-niyaz ka

sar be-ḳhudi men aap ke qadmon pe jhuk gaya

aaya tha kuchh ḳhayal sa dil men namaz ka

ankhen jhuka nazar na mila dil pe tiir kha

pahla sabaq hai ishq ke raz-o-niyaz ka

mahfil men dekhte hain vo tasvir ki tarah

markaz hai har nafas nigah-e-imtiyaz ka

dekha phir us ne qalb ki phir harkaten baḌhin

zaḳhma bani hai phir nigah-e-naz saaz ka

zarf azma.e sozish-e-sad-barq-e-tur se

liije na imtihan dil-e-be-niyaz ka

‘talib’ agar nazar na ho pamal-e-ḳhvahishat

har lam.a barq-e-tur hai husn-e-majaz ka

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

KHWAJA GHULAM FARID

Har Surat Wichch didar dithum

Na Manzil Na Rah-E-Adam Dekhte Hain

aftab-iqbal-shamim

Ek Chadar-e-Bosida Main dosh Pe Rakhta Hun

poet

Karta Main Ab Kisi Se Koi Iltimas Kya

Hain Ahl-E-Nazar Yahan Pe Sabhi Ghalat Koi Kaam Ho Na Sake

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet