chashm-e-nam karti rahi ashk se fariyad raqam
tab kahin ja ke hui dard ki rudad raqam
teri barson ki kitabat kahin barbad na ho
dil-e-nashad ko ai vaqt na kar shaad raqam
har zamane men qalam ka yahi dastur raha
qatl hone pe kiye jaate hain a.adad raqam
su-e-zindan ka safar dard ne zanjir kiya
ḳhud-ba-ḳhud hoti rahi shorish-e-sayyad raqam
us taraf ḳhama-e-mahshar ne faqat ek likha
is taraf chahe karo jitne bhi afrad raqam
kalma-e-haq ke muqabil jo iram-saz rahe
un ko tariḳh kiya karti hai shaddad raqam
dil ki alam-e-haqiqat ka talabgar raha
so mire haal men hoti rahi uftad raqam
soch kar kahna mire ba.ad koi aisi ghazal
kahna paḌ jaa.e na tum ko kahin ijad raqam
aise be-dard zamane hain mire saath ‘shakil’
zaḳhm dete hain mujhe karke vo ta.adad raqam
Leave a Reply